vo aadmi jo tiri aarzu men marta hai
vo tujh se pyaar nahin khud se ishq karta hai
faza men khauf ke parcham buland hote hain
savad-e-sham se lashkar koi guzarta hai
miri zamin ke bulave ghazab ke hain lekin
koi junun mire par rat-din katarta hai
main apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhun
shikasta zarf dobara kahin sanvarta hai
lage hue hain jahan par visal ke kheme
udhar se hijr ka rahvar bhi guzarta hai
- Asad Badayuni

0 Comments