atvar tire ahl-e-zamin se nahin milte
andaz kisi aur hasin se nahin milte
un ki bhi ba-har-hal guzar jaati hain raten
jo log kisi zohra-jabin se nahin milte
tum mehr sahi maah sahi ham se milo to
kya ahl-e-mahak ahl-e-zamin se nahin milte
ai hazrat-e-dil un se bani hai na banegi
kyuun aap kisi aur hasin se nahin milte
'mirza' ko bhi parda nahin vala-manashon ki
achchha hai jo us khak-nashin se nahin milte
- Mirza Hadi

0 Comments